Tuesday, April 2, 2013

Prahlaad Tumhara

Kabhi sochte hain hum
Ke tum jo zindagi me aye
To kya tadap di hai saathi
Ke jaate jaate bhi jaan na jaye
Aur bin tadpe mazaa na jaye

Ye husn ki tijori
Chahe band rakho hijaab ke taale se
Hai dil jo iski chhabhi
Khazaana to lut hi jayega

Hai jo fakr itna surat par apni
Gumaan hai khubsurti ke vardaan par
Ayega Narasimh tumhara bhi
Jo mai hu Prahlaad tumhara


Wednesday, February 13, 2013

JEEVAN KI ROSHNI


Soch raha hu kya lafz likhu
Jinme tu utar paye
Bayaan karu teri khubsurti kaise
Ye zubaan mere dil ko samajh na paaye

Kya jaadu hai muskaan me teri
Jo murde bhi harshayein
Chamak hai aisi chehre me tere
Bin ankho wale rango me nahayein

Kya karu shukriya khuda ka mai
Awaaz jo teri kaano tak aaye
Ehsaas kuch aisa hota hai
Koyaliya koi geet sunaye

Tere bas hone se hi
Jee karta hai jine ka
Hai mere jeevan ki roshni tu
Hai tujhmey khuda,
Tere aage wo bhi sar jhukaye

Wednesday, January 9, 2013

A DYING STAR


I saw a star pass by
Moving slowly like a tear,
When babies cry
Moving down without a hope
Without a wish, without a grope

Away from home by a billion light years
Still lit not the world, but the universe
Burning inside hotter than the sun
A mask of silver, making Christmas fun

Wonder the kids as up above the world
This diamond twinkles and twirls
Nothing hides from its light
Knows the way to new born Christ

It dies as an unsolved mystery
An enchanting tale of fascinating history
As it dies all old and worn
It grows beautiful with the tail it adorns

A dying star is a sight to behold
Watch it close, as a lesson unfolds
Lights the universe though burning inside
Making millions watch as it dies

Friday, January 4, 2013

ULJHAN


Uljhan me hai zubaan
Kahe to kya kahe aisa
Jo kisi aur ne kaha na ho
Kya mai kahu
Ke khafa hu mai us har lamhe se
Jisme tu muskuraya na ho

Ya fir kahun hone se tere
Achha lagta hai jeena
Naa jaane kya nasha hai tujhmey
Ke mai bhul gaya peena

Uljhan me hai zubaan
Par is uljhan me wo suljhan hai
Jo milti hai na mandir na masjid me
Kehte honge log khel isse dil ka
Mere liye to swayam khuda se milan hai

Tuesday, January 1, 2013

KUCHH BAATEIN AISI

Jo hotth kabhi naa keh payen
Kuchh baatein aisi karni hain
Jo samajhaye tu na samajh paye
Kuchh baatein aisi karni hain

Jo kehte hain hans ek duje se
Jo baatein hain panchhi aur pawan ki
Jo baatein hoti hain bin bhasha ke
Kuchh baatein aisi karni hain

Jo sochke tumhara dil ghabraye
Par sochna bhi pyara lage
Jin baaton se hamare dil sharmayen
Kuchh baatein aisi karni hain

Kehna chahta hai jo khuda jag se
Jo bacha hai bas kitabon me
Likhi jayen kahaniyan fir se
Mujhey baatein aisi karni hain