Showing posts with label Poems(Hindi). Show all posts
Showing posts with label Poems(Hindi). Show all posts

Monday, April 10, 2017

IJAAZAT

Jo zyada mashgul na ho toh
Jo kisi aur ke khayaalo mein na ho toh
Hai milne ki ijaazat
Dil hai maange

Jo deewangi ki deewani ho toh
Kucch deewangi aisi si hai
Jo ajao nazro ke saamne toh
Saanse aane ki ijaazat hain mange

Jo paak samajhti ho khud ko itna
Kisi paymaane se kam nahi
Madhoshi aisi nazron mein tumhari
Hosh bhi aane ki ijaazat hai maange

Jo yakeen na ho lafzo par mere
Kar mehsus ke dekhlo
Dil bhi dhadakne ki ijaazat hai maange
Kadmon mein tumhare hai kaynaat ye puri
Jo khuda bhi khudayi ki ijaazat hai maange

Sunday, June 12, 2016

Baadal Se Bair

Hai jashn koi teri paayalon ne manaaya
Ya hai aawaaz ye pehli baarish ki
Sadiyon se barsaaya pyar tujhpar
Tujhey bhayi barsaat, dekh saazish baadal ki

Hai kurbaan tujhpar mera bhi sab kuchh
Jaise kurbaan hai karta baadal khud ko
Na dekha maine use jisme tu na dikhi
Par bhaya tujhey baadal, bhigaya jisne sabko

Wo khushboo gili mitti ki
Thandi havayein chhedti taaza hariyali ko
Kisi panchhi ke geet ke beech nazar aayi tu
Jo utar aaye pyale mein tu, ho jayein band madhushala

Hai ghul jaati mohabbat hawaon mein
Andaaz jo mausam ka aisa ho
Shayad chhitey tujhpar padti boond ke pad jaayein mujhpey
Toh kardu maaf mai us baadal ko

Friday, April 22, 2016

Mulakat Khud Se

Din ki khamoshi mein
Raat ke sannate mein
Mulakat hui khud se, jo rubaru hua
Jana kitna tanha chhod diya tha khud ko
Jisse dur bhaga, wo hubahu hua

Mili mujhey khushi aise
Kaha ho apna kisi ne barso baad jaise
Ayi sharm gham ka thaame haath
Jab pehli baar khud se pyar hua

Raund deti hain hawayein zindagi ki
Unhe jo bheed me chala karte hain
Jee to raha tha saalon se main
Khud se milke fir bhi naya janam hua

Bohot tha dar aane wale kal ka mujhey
Wo kal jise mujhey hi banana tha
Jo dekha kal ko khali kitaab sa
Toh jo maine likha, bas wo hua

Sunday, August 2, 2015

NAYI

Adding to the verses of the great poet Shabeena Adeeb

Khwabo mein dooba jagta raha
Neend kahin kho gayi hai
Jokhim koi bhi bada nahi
Zindagi mili nayi nayi hai

Jo sambhle hon gir kar kayi martaba
Rukna nahi wo jaante
Dekh kar baitha udaas tumhe
Chook shayad nayi nayi hai

Hain sadiyo se baithe oonchi imaarto mein jo
Hain pesh ana khoob jaante
Mizaaj apka dekh kar hai lagta
Shauhrat apki nayi nayi hai

Haatho mein haath daale chale dono
Khaamosh lab, palke jhuki hui hain
Ho rahi ulfat dilo mein unke
Abhi toh mohabbat nayi nayi hai

Suna raha tha prem kahani apni
Kis tarah tute dil ko siya hai
Beh chale do aansu palko se tumahre
Chot shayad nayi nayi hai

Monday, June 8, 2015

BADE DINO BAAD

Bade dino baad jo dhadkan suni
To thoda ghabra gaye
Kya qayamat agayi lene hame
Fir jana ke dil ko tum yaad agaye

Bade dino baad khaali baithna
Khaali sa nahi hai
Jo thi zindagi chand saanso me kat rahi
Uski ab aarzoo bhi nahi hai

Yun milna tumse sadiyo mein ek baar
Bas chand muskaano mein bichhad jaane ko
Jaise registaan mein badal zamaano ke baad
Aaye bas do boondein barsaane ko

Bade dino baad shayari ka shaukh aya hai
Zarre zarre mein hain jazbat bhare
Shabdon se humne dhoka khaya hai
Hai kehna toh bohot kuchh humein
Zara thehro, abhi abhi dil pe malham lagaya hai

Bade dino baad jo hogi mulaakaat
Sunenge firse dhadkan dil ki
Mat ghabrana jo ajaye qayamat
Chhipa kar tumko, kar denge jaan haazir khud ki

Tuesday, March 17, 2015

IBAADAT

Teri ibaadat se badi mohabbat kya hogi
Tere daaman me jo na ho
To jannat kya hogi
Jo nikle nahi ashk do chaar gham me tere
Wo zindagi, zindagi kya hogi


Jo har roz khuda se pehle tujhey yaad karoon
Jo na aaye zubaan pe naam tera
To zubaan se bair karoon
Mat bol patthar dil mujhey
Jo thukra diya tune dil mera
Dil ko patthar sa mehsus karoon


Bin tere lafzo ke namaaz na hogi
Jo dekhu na tujhey muskaate
To zarurat aankho ki kya hogi
Jo kiya na ishq tujhsey maine
To jeene ki wajah kya hogi

Thursday, January 29, 2015

BENAAM

Kehte hain log jise ek ho jana
Kehte hain jise rishta purana
Jhukta jiske aage khuda tak hai
Puchha uske bando ne aye ishq, tera mazhab to batana

Dil ki kashti mein liye use chalta raha
Aya tufaan toh samandar se ladta raha
Puchhli jaat kinare ne mere khoon ki
Pyar hai kaafi, sochkar dil dhadakta raha

Zara ittila kardi hoti aye khuda
Jo banaye tune kaanoon pyar mein
Kar baitha ishq mai bin puchhe naam tak uska
Toh jana dil ka nahi, dharm ka mol hai pyar mein

Mat jao dar khuda ke tum
Jo bakshish uski thukrate ho
Kya kam hai nafrat is jahan mein
Jo laga kar bandishein pyar me
Khudko insaan batate ho

Dil mein liye pyar aaj bhi chalta hu
Naa mazhab na jaat
Na dharm kisi muskaan ka
Bin puchhe naam uska ishq aaj bhi karta hu

Thursday, November 13, 2014

AYE KHUDA

Aye Khuda
Aisi bhi kismat kyu banayi
Ke ro pada tu bhi
Apni kahani jo maine sunayi

Jab bhi gira tujhey yaad kiya
Suni na tune ek meri
Kar mehnat jo chhua aasmaan
Toh kehta hai dua hai teri

Na lunga ab naam tera
Na karunga ab pooja koi
Kar sake to kar bhala mera
Agar sach mein hai khuda koi

Aye khuda
Itna gumaan sahi nahi
Ke meri takdeer toh likhdi tune
Khudki takdeer ka pata nahi

Monday, August 4, 2014

MOHABBAT-E-HARAAM

Udd se gaye rang phulon se
Jo rango mein tere nigaah sama gayi
Kar leti lihaaz mere bhi mazhab ka
Kar diya shaayrana jo urdu tu sikha gayi

Chal diya mandir ki ore
Jo yaad khuda ki agayi
Rakh liya roza maine yahan
Tu karva chauth wahan mana gayi

Kyun dhundti hai tu asmaan mein khuda
Suna hai wahan bhagwaan hai mera
Kyun jhukti hai tu masjid mein
Jaise mandir mein mai jhuka

Hijaab mein chhupta tera chehra jo dekhu
Jaise pallu mein chhupi dulhan agayi
Kehte hain log khooni hain tere bhai
Par tehzeeb duniya ko tu sikha gayi

Dhoond raha tha patharo mein jise
Ibadat wo insaan mein nazar agayi
Dekha ek baar bas nafrat na karke
Toh tu mohabbat karna sikha gayi

Saturday, August 2, 2014

ARMAAN

Armaan kuch soye soye se
Jaage hain dil mein kahin
Bohot chal liya pakadke ungli
Zara gir ke chalna dekhu to sahi

Na disha ki parvah na raste ki fikar
Jo ho manzil ka suroor
Na berukhi mein jalna na zamaane ka dar
Zara jeene ka nashe mein duboon toh sahi

Armaan kuch jaage jaage se
Chalne banne manzil meri
Jo chhod ke ungli chalne laga
Toh dhokha pairo ne kabhi diya nahi

Friday, June 6, 2014

NARAZGI

Hai subah ko jagati aankhein meri
Chhidak kar pani jinme wo raat bhar doobi rahi
Socha aaj sunega kahani koi behte ashkon ki
Toh baarish ki saazish ho gayi

Jo le gaye pair sagar kinare
Doob ke dekhu zara aankho ki tarah
Jo tamanna na rahi ab jine ki
Toh maut bewafa naraz ho gayi

Saturday, May 24, 2014

KHAYAL

Hai sukun ata ye dekhkar
Ke hai duniya mein achhai abhi
Jo dekhe koi muskurate tumhe
Kaise kare gunaah kabhi

Tum chaho na chaho batiyana mujhsey
Dil ki baaton ko rokogi kaise
Kabhi dekh na lena meri ore kabhi
Dil ki chori ko rokogi kaise

Chahe karlo jitni nafrat mujhsey
Hai sona ubharta jalke, pighalke
Chahe ho mohabbat ya nafrat aye jaan
Aunga main hi khayalo se nikal ke

Saturday, May 17, 2014

SALAAHIYAT

Hosh se badi sazaa kya hogi
Moondi ankhon se jo dekhe
Jannat wo dekhne walon ko kahan hogi
Teri hasi mein jo chain-e-madhosh hai aye jaan
Wo samajhdaro ko dua-e-khuda mein kahan razaa hogi

Teri nigahon ki roshni se zada
Rangsazi syahi kya hogi
Hai meherbani teri muskaan ki aye jaan
Warna salaahiyat qous-o-qazah ki
Baarish mein kahan hogi

Chauksi se zada bayzaar zindagi kya hogi
Ruk ruk ke, tham tham ke
Hasne se zada udasi kya hogi
Jab ki hai mohabbat tujhsey aye bakshish-e-khuda
Toh dua kubul bhala allah se kya hogi

Thursday, April 3, 2014

MUSKAAN

Ek baar jo dekha aine ko
Thi tasveer koi anjani si
Tha kaun wo khada parchhayi bana
Kahani koi sunani thi

Kaha muskurate hue usne
Kyu jaan ke anjaan ho tum
Ke aansu aur hasi, dono hi do pal ke hain
Toh chehre se muskaan kyu gum

Raat bina na din hai
Na din bina hai raat
Dono me hi khush rehna
Yahi hai sachi baat

Andhiyare mein mai kaise hasu
Puchha maine us parchhayi se
Hai behta lahu pal pal mein yahan
Bachu kaise ache bure ki ladayi se

Burai ka keher jo badh jaye
Toh achhai ubharne lagti hai
Jo achhai kabhi zada ho
Toh burai janam le leti hai

Khushi tumhari hai tumhare paas
Na kisi aur vastu na insaan mein
Zara ichha to karo muskurane ki
Hasi ka bhandaar hai is jahaan mein

Jo tum haso to duniya hase
Jo ashko mein raho to jeevan ruke
Badnaseeb hain wo jo dhunde wajah
Naseeb wale toh bewajah hase

Muskura diya jo dekha aine ko
Thi tasveer jaani pehchaani si
Tha mai hi khada parchhayi bana
Sunli kahani jo sunani thi

Saturday, January 18, 2014

JEEVAN

badhte badhte badh to gaya
pakadke ungli chal to gaya
manzil ka pata lekin na tha
bas raah pakdi aur kho sa gaya
bachpan mein pyar kiya to tha
par jana nahi hota hai kya
khilaune, khel fir dosti yaari
pyar ke shikhar pe maap baap aur behen pyari
bhatka hua sa dil tha mera
tumse mila to sambhal to gaya

koi khata ho to maaf kar dena
na kar sako to barbaad kar dena
tumhari muskaan ki kimat tum jaanti nahi
loot loot ke use mai lut sa gaya
naino se barasti har boond tumhare
tezaab si lagti dil pe hamare
toh zakham na dena isko kabhi
tumhe hasta dekh ye dhadak jo gaya

shaitaniya kabhi kam na hongi
aakhir hoti hain apne ke aage
tum rootth jao chahe jitna
manake tumko mai tumpe mar sa gaya
ab vada hai tumse mera
ke zindagi meri ab hamari hai
saansien rahein na rahein, pyar karunga
tumhe paake hi to mai jee sa gaya

Monday, September 30, 2013

KAASH

Kaash
Suraj ko kabhi dhalna na hota
Hawao ko badalna na hota
Is waqt ko guzarna na hota
Kaash
Koi dil kabhi tuta na hota

Kaash
Lehro se takrata nahi
Bas kisiki muskaan ke liye
Kaash
Khudko jalata nahi
Tanha dil ki thand se bachaane ke liye

Kaash
Pochhe hote aansu kabhi
Apne bhi naino se nikalte hue
Kya peeli do boondein ashkon ki
Kaash
Ye zeher piya na hota

Kaash
Khuda ka ghar itna door na hota
Pyar mein dard, itna na hota
Dil pe kabhi kabu bhi hota
Kaash
Ye kaash na hota

Monday, September 23, 2013

BEHKA

Mere hottho tale shabd hain kuchh
Kabhi hottho pe apne sajao na
Baatein uthti jo dil mein hain
Kabhi tum unhe kar jao na

Kyun sharm ki chaadar odhhe tum
Pyar ki thandak se bachti ho
Kehte hain pyar mein hota hai khuda
Kabhi namaaz mujhey bhi sikhao na

Jo rakhna hai dil apne paas hi
To muskaano se yun chhaliyao na
Na rahi nashili sharab koi
Mera naam leke mujhey behkao na

Wednesday, July 24, 2013

ZINDAGI

Kabhi ghulam hai zindagi
Kabhi badnaam hai zindagi
Katputli hai tere man ki ye toh
Badi nadaan hai zindagi

Kabhi ojhal hai aansuon ke tale
Kabhi kuchh sapne ye bunte chale
Kabhi registaan to kabhi hai nadi
Dil ka aina hai zindagi

Isse tujhey pyar hai kabhi
Kabhi tu hai kaatil iska
Hokar teri kabhi, sirf teri nahi
Sune ye dil ki, aur dil kisi aur ka

Kabhi bekaar hai zindagi
Kabhi lachaar zindagi
Kabhi hai ek ugta suraj
Kabhi ek laash hai zindagi

Hai ek paheli ye toh
Jiski suljhan me bas uljhan hai
Jis pal ho man me bas pyar ki ladi
Wo chhota sa pal hai zindagi

Friday, July 5, 2013

TERI MUSKAAN

Teri chuppi se baatein karna acha lagta hai
Tere dard ko peena acha lagta hai
Teri palko pe padti har boond ke liye
Thoda sa marna acha lagta hai

Wo baatein milkar ho nahi paati
Jo duriyan dil se karvati hain
Bichhadne ka dar to hame bhi hai
Par us dar me jeena acha lagta hai

Sab kuch kho kar ek junoon hai man me
Ke kho dun khud ko teri khushiyo ke liye
Tu meri ho ya kisi aur ki
Teri muskaan ki wajah hona acha lagta hai

Wednesday, June 26, 2013

KHWAISHEIN

Tere khayalo ke kohre me kho jaun
Tere ishq me haste haste ro jaun
Bohot jee liye khudayi zindagi
Tu mil jaye to khud khuda ho jaun

Teri baaton ki dhun gungunaoon
Koi kahe pagal to mai sharmaoon
Bohot bana liye bahane ab
Banke tera mashooq ab tujhsey milne aoon

Teri muskaan asmaan pe bichhaoon
Khuda se na hua wo kar jaun
Jo na doon khushi ek pal ko tujhey
To jeena bekaar, mai mar jaoon