Saturday, November 10, 2012

AAGAAH

Dil ki baat batana nahi
Hothon pe unko lana nahi
Chahe bahe rag rag me aansu
Aankho pe unko sajaana nahi

Nahi hai koi aisa jag mein
De apna diya tumhe shab mein
Waade karne waale to hain
Nibhane ka saahas nahi hai sab mein

Kaid kar rakho dil ko apne
Ye udta panchhi hai sankat mein
Ye kya jaane sholay aur kaante
Dikhta hai khuda ise patthar mein

Ummeed kisise rakhna nahi
Har shaant nadi hai ghatak jharna kahin
Baato pyar, suno sunao kisse iske
Lekin is dariye me padna nahi

Monday, November 5, 2012

TUM HO TOH

Na rahi aisi pyas koi
Jisme tera ehsaas nahi
Ek boond tere khayal ki
Jannat mera man, khuda hai wahin

Na rahi aisi subah koi
Jisme teri muskaan nahi
Tasvir tere har lafz ki
Wahi hain geet, geeta hain wahi

Na rahi aisi chaah koi
Teri khushiyan jiski buniyad nahi
Jhalak teri pariyon si
Shayad sach hain kahaniya, khuda hai kahin